kaisa lagta h jab koi na kare pyar tujhe,
kaise lagta h jab koi na rakhe samhal tujhe,
kaisa lagta hai jab tum daldal me ho or ek bhi hath tum tak ata na ho,
kaisa lagta hai jab tuhare hi charo or ek na tootne wali bandish ban gai ho,
kaisa lagta hai jab tum dukhi ho or haskar padta ho dikhana,
kaisa lagta hai jab tum unmukt hona chahte ho or aavran se odhae jate ho,
kaisa lagta hai jab tum sab achchha chahte ho or khud tumhare sath bura ho jae,
kaisa lagta hai jab tumse tumhara astitva har pal har minute chheena jata ho,
kaisa lagta h jab tum khud ke dum par jeena chahte ho or tumhara dum hi tumse chheen liya jata hai,
bas asa lagta hai k tum ho,
lagta h ki kyu ho par ho,
asa lagta hai na hone ki jaddojehad me hone ki parakashtha zyada mahtvapurn h,
kya fark padta h kisi ko ki tum ho ya nahi par kyuki tumhe hona tha or is hone ko koi tal na saka islie tum ho,
to jiyo k khula hai aasman tere lie,
to jiyo ki gate h panchhi tumhare lie,
to jiyo ki is prakriti ke kan-kan me basi sugandh hai tumhari,
na jana phir vo mile na mile,
log tumhe mane na mane par tum ho kyuki tumhe hona hai , hona tha, or agey bhi hona sunischit hai