ye ho
kyaaaa rahaaaa haiiii..... mazak hai kyaaaa..... rape ek fashion kyu ho
raha hai....bachchiyon ka bachpan kyun cheena jaa raha hai...bachche
jinke manas patal par abhi tak zindagi apni amtata bhi nahi likh pai
hai...vahan ye amit amanviya nishaan kaise jud rahe hain...i am all
tensed depressed...pahle hmari praja ladkio ko paida nahi karti thi
vishesh karno se..kuchh varg mein ye vibhed band
hua bhi hai to ab is tarah ki kalushit stithi ko poshit kia ja rha hai k
maine aaj hi logo k samne suna k bhagawan bachcha de ya na de betiiiii
na de...ye prashn chinh hai hmare samaj hmari soch pr ...maine asa to na
socha tha k hmara samaj asa hoga...aaj ek aalekh pdha jisme likha tha
ki pashchatya sanskriti jo havi ho rahi hai yeh uska prakop hai pr mujhe
to lagta hai k yeh kewal ilzam hai..... pashchatya ek alag sabhyata hai
yadi hum apni sanskriti ke sath lekar usay chalte rahe to yeh hmari
galti hai..... or iski vajah se agar log kahte hain ki balatkaar ka
karan pashchatyata havi hona hai to main ise swikaar nahi karti or puri
tarah manti hun ke yeh kewal or kewal manushik soch ka hissa hai..... vo
ape karte hain kyuki unhe dar nahi hai khud se samaj se or sarkar se or
unhe koi kanoon asa sochne par majboor bhi nahi kar sakta ki unhone jo
kia vo puri tarah galat tha....bas ab or nahiiiii ..nahi...bilkul
nahiiiii ..main nahi chahti ki jisne galti ki hai uske alawa iska
parinaam kisi or ko mile ya pure poorush samaj par ungliyan uthai
jaae..... abhadrata hogi par bas...main yeh bhi nahi chahti ke vera
wajoood kho jae...vo bachchi ya koi bhi , uska astitva samaj me rahte
hue bhi logo ki sahanubhuti ka hissa ban jaaae..... ae maula
parvardigaar..... bassss agar ab tu kahin hai to ek meri hi nahi hazaro
dilo ki is pidit aawaaz ko sun le....maine suna hai ki jab koi asahniya
dukh dard me ishwar tujhe pukarta hai to uski vo peeda samapt hoti
hai...bas......ab or nahiiii....
No comments:
Post a Comment