Dilli me...
Dilli me waqt kuchh yun guzar jata hai jaise
Maru me pani ka sota sukh jata hai,
Yha hafte bhi din nazar aate hain or agla mahina ithlata aata hai,
Intzar munasib nhi smjha jata
Or zindagi ko second ki sui bnaya jata hai,
Kb bachpan k jaise kulfi
Khaungi
Ye intzar nzr aata hai,
Par kulfi wala na milne par agey badh ne ko kaha jata hai,
Vo beparwahi yaha ab koi nahi janta jab barish ka mausam aata hai,
Us baarish me koi nahi nahata kyonki vo unhe tym waste nazar ata hai,
Dilli me ab suraj nahi ugta na dhlta hai,
Yha har waqt koi kisi race me chuhe sa bhaga jata hai,
Main yhaa se door kahi jana chahti hu
Par ye kisi ko raas nazar nahi aata hai,
Yha main kab hum hai
Or hum kab main
Ye antar ab nazar nahi ata hai,
Farq logo ko padta nahi par dusro ko khoob jataya jata hai,
Is kheechtaan me mera sarwasv khatm hua jata hai.
Nishu

No comments:
Post a Comment