Saturday, July 19, 2014

vo rickshaw wala

Aaj achanak jab skul bus se utri to rickshaw lene ko badhi. Vahan ek buzurg rickshaw wale uncle ek mahila ko paisa pura dene kaa aagrah kar rahe the or vo mahila kuchh tark kar rhi thi. Us mahila ka kahna tha ki rickshaw wale buzurg hain or ve rickshaw bahut dheema chala kar laae hain islie unhe jitna diya gaya hai vo apne aap mein khoob h.asa kahkar mahila mudne ko hui tabhi un buzurg ne kha madam aap jo bhi ho jis ohde pr ho acha h par main ye jan na chahta hun ki m kitna bhi budha hun km se km mehnat ki to khaa raha hun.mere dheere chalaane se aapka kya nuksaan hua h? Or yadi hua bhi hai to jb ped k niche m aaraam se baitha tha or koi or rickshaw wala vha tha nahi to apne mujhe kyon uthaya .m tb bhi boodha tha ab bhi hu rahi baat meri mehnat ki to jo aapne dia h vo shulriya pr ye aap vapas lo ho skta h k aapko jaate hue bhi rickshaw ki zrurat ho. M vhi khadi thi or sun rhi thi ni:stabdh si or ye anubhav mere dimag me bahut se sawaal or unke ulajhte jwaab chhod gya
Sasneh
Nishu

No comments:

Post a Comment